daman-e-zist mein daghon ke siwa kuchh bhi nahin laut aaega koi shahr ke bazaron se kitna aaseb-zada hai ye zamane ka chalan dar sa lagta hai mujhe apni hi diwaron se tutne walon ke ehsas se puchho ja kar log waqif hi kahan hote hain jhankaron se jhank kar dekhiye andar to andhera hoga raushni lakh nikalti rahe minaron se kaun roya tha yahan kis ne sadaen di thin raat phir puchh rahi thi meri diwaron se yas insan ko bimar banati hai 'nasim' zindagi bojh hai uthta nahin bimaron se