daman tera mujh se chhuta milne ke haalat nahin lekin tujh ko bhul sakun main aisi bhi to baat nahin badle badle se lagte hain aaj ye tere tewar kyun pahle jaise kyun ab tere pyar ke wo jazbaat nahin mere hath ki sari lakiren uljhi uljhi lakh sahi un mein mujh ko tu mil jae hogi meri mat nahin tum se bichhde arsa bita phir bhi aks hai aankhon mein aae na ho tum khwabon mein jo aisi koi raat nahin khush-qismat hain log wo jin ko pyar ke badle pyar mila is duniya mein har insan ko hasil ye saughat nahin jate jate gham ki daulat tum ne bhar di jholi mein ab ye zist ka sarmaya hai mamuli khairaat nahin dard-bhari hai yaad-e-mazi phir bhi bas ji lete hain hum ne jaana har mandap mein aati hai baraat nahin chahe bahaar ka mausam ho ya wasl ka koi aalam ho bit gae jo phir se wapas aate wo lamhat nahin jab jab tum yaad aae 'mona' bhar aain meri aankhen aag lagae dil mein aansu ye koi barsat nahin