gul-e-khurshid khilaunga chala jaunga subh se hath milaunga chala jaunga ab to chalna hai kisi aur hi raftar ke sath jism bistar pe giraunga chala jaunga aabla-pai hai ruswai hai raat aai hai daman ek ek se chhudaunga chala jaunga hijr sadiyon ke tahayyur ki girah kholega ek zamane ko rulaunga chala jaunga bas tujhe dekhunga aate hue apni jaanib phul qadmon mein bichhaunga chala jaunga ishq bhi husn mein zam hota dikhaunga tujhe jab diya raqs mein launga chala jaunga jis taraf bhul ke bhi dekha nahin aaj talak qadam us samt badhaunga chala jaunga