nahin shuur-e-nazar kisi mein

nahin shuur-e-nazar kisi mein
hazaron gham hain meri hansi mein

nahin hai mear koi baqi
na dushmani mein na dosti mein

na chhed un ko ai jazba-e-dil
wo ro padenge hansi hansi mein

payambar-e-tirgi bhi ek din
zarur aaenge raushni mein

zara koi rahbar se kah de
ki raaz-e-manzil hai gumrahi mein

mazaq-e-mahfil gira hua hai
na tute dil koi dil-lagi mein

bujhi hui shama sath le kar
bhatak rahe hain wo tirgi mein

khuda ka irfan yahi hai 'ashraf'
ki lutf aa jae bandagi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close