dana hue buzurg hue rahnuma hue wo din ki hum the sham-e-majalis hawa hue un ko nahin dimagh-e-talazzuz jahan mein jo ibtida se waqf-e-gham-e-intiha hue khurshed ki nigah se shabnam hai mushtahar wo aashna hue hain to sab aashna hue manzil hai shahryari-e-alam to dekhna is rah mein hazaron qabile fana hue had se ziyaada hum ne khushamad buton ki ki ye log badhte badhte bil-akhir khuda hue is ka bhi kuchh hisab karenge ba-roz-e-hashr nale azal se kitne sipurd-e-saba hue karte rahe huzur pe takiya akhir tak hum aasare ke hone se be-asra hue kis din hamara hirs-o-hawa se bari tha dil kis roz hum se apne farize ada hue