hum pe wo mehrban kuchh kam hai is liye khush-bayan kuchh kam hai mit gaya hun par us ki nazron mein ab bhi ye imtihan kuchh kam hai shahr mein yun zamin to kafi hai nilgun aasman kuchh kam hai gham ke saman kuchh ziyaada hain is mutabiq makan kuchh kam hai sar chhupaun to panw jalte hain mujh pe ye saeban kuchh kam hai zindagi aur de azab mujhe mujh pe aaed lagan kuchh kam hai fasl-e-barud hai pahadon par is baras zafran kuchh kam hai