dil mein aate hi khushi sath hi ek gham aaya id aai to main samjha ki moharram aaya khun-e-dil ho gaya shayad dam-e-girya jo aaj ewaz-e-ashk lahu aankhon se paiham aaya nazuki kahte hain us ko ki hazaron bal khate ta-kamar yar ka jab gesu-e-pur-kham aaya dil mein hai jalwa-kunan chah-e-zanakhdan ka khayal ain kabe mein nazar chashma-e-zamzam aaya phir bahaar aaegi phir dagh-e-junun chamkenge phir su-e-burj-e-hamal nayyar-e-azam aaya pak-daman hai to aisa ki pae sidq-kalam shan-e-ismat mein teri sura-e-mariyam aaya di duhai teri rahmat ki gunahgaron ne lab-e-waiz pe junhi nam-e-jahannam aaya dasht-e-ghurbat mein ba-juz bekasi-o-yas-o-alam qabr-e-majnun pe na koi pae matam aaya sher-goi hai wo shai jin ka sila dene ko khwab-e-firdausi-e-khush-fikr mein rustam aaya phir gaya aankhon mein us kan ke moti ka khayal gosh-e-gul tak na koi qatra-e-shabnam aaya jite-ji hi ke the sab yar pas-e-marg 'qalaq' gor par koi na gham-khwar na hamdam aaya