dastar-e-ehtiyat bacha kar na aaega koi bhi us gali se subuk-sar na aaega bas ek jast aur sar-e-ku-e-justuju phir raste mein koi samundar na aaega ud jaenge hawa mein sabhi naqsh-e-na-tamam aur mausam-e-hunar bhi palat kar na aaega kab tak rahoge zid ke ahate mein khema-zan wo hadd-e-ehtiyat se bahar na aaega yun mutmain hain raste sehn-e-sukut ke jaise kabhi sadaon ka lashkar na aaega jo kuchh hai wo bahut hai ki phir is nawah mein ek lamha-e-sukun bhi mayassar na aaega 'akhtar' ab intizar ki parchhaiyan samet is dhup mein wo mom ka paikar na aaega