dar ke jine se to behtar mera mar jaana hai ku-e-jaanan se guzarte hue ghar jaana hai mere haq mein koi nindon ki duaen kar de mujh ko khushiyon ke liye khwab nagar jaana hai kyon na aankhen meri rone pe kamar-basta hon aaj us ne mere ashkon ko guhar jaana hai is liye naz hai dariyaon se nisbat rakh kar un ka anjam samundar mein utar jaana hai jis ko marna hai mere bhid mein rah kar 'anjum' ho jahan taza hawa tujh ko udhar jaana hai