falak se chand taron ko utarta dekhta hun main hamesha jagti aankhon se sapna dekhta hun main mujhe malum hai ghurbat abhi banne nahin degi bana kar roz lekin ghar ka naqsha dekhta hun main hamari be-maashi ne hamein ye din dikhae hain jawan chehron pe bhi aksar budhapa dekhta hun main mujhe mil jaen shayad kuchh mere bichhde hue sathi isi ummid pe duniya ka mela dekhta hun main mile koi bhala kyon mujh se 'anjum' aaina le kar hamesha dusron ko khud se achchha dekhta hun main