dar mujhe bhi lagta hai kam-nazar zamane se kya karun na mane jab dil mera manane se jal utha tha pal bhar ko aap ki inayat se bujh gaya charagh-e-dil aap ke bujhane se wo to la-ubaali hai kya use khabar hogi hum pe kya guzarti hai haal-e-dil chhupane se barhami mein chehre ko kyun bigad rakkha hai ye hasin lagta hai sirf muskurane se baam-o-dar mere ghar ke muntazir hain us din ke jab tumhein mile fursat mahfilon mein jaane se hum wafa ke matwale jaan ko nahin darte baz ab to aa jao hum ko aazmane se dars jaan-nisari ka tu hamein na de 'tashna' kya mila tujhe ab tak zindagi lutane se