na karwan ka hamare koi nishan raha na ham-safar na hi kashti na baadban raha zamin apni taraf khinchti rahi mujh ko sawar sar pe sada mere aasman raha mujhe khabar thi gaya tha tu ghair se milne main jaan-bujh ke mahfil mein be-zaban raha tamam umr musallat raha wo dil pe mere tamam umr main zalim ka mezban raha hua na qaid-e-zaman-o-makan se main aazad zamin se dur magar zer-e-asman raha sharik wo bhi tha mere khilaf sazish mein ki jis ke sath sada mera khan-pan raha na dil mein jalti hui aag bujh saki 'abid' na sar pe mere kabhi koi saeban raha