dar-pesh sham-e-gham hai adam ka safar mujhe is tirgi mein rah milegi kidhar mujhe eajaz-e-chashm-e-naz dikha fitna-gar mujhe yani mita diya hai to paida bhi kar mujhe majbur raaz kahne pe hamdam na kar mujhe dar-o-rasan hain samne haq baat par mujhe saqi hun rind-e-khas mile tez-tar mujhe mai-khana sab jahan ko sharab-e-nazar mujhe tabir is ki kya hai bata chaaragar mujhe dekha hai khwab mein na milegi sahar mujhe kho de malal hijr ka chahe jidhar mujhe utthi to dhund legi kisi ki nazar mujhe wo muskura rahe hain jidhar dekhta hun main kaisa diya gaya hai fareb-e-nazar mujhe dhoke mein tere ahd-e-mohabbat ke aa gaya malum ye hadis hui mo'atabar mujhe diwane ho gae hain mere sath aqraba samjha raha hai ishq mein sab ghar ka ghar mujhe wo mast-e-kaif-e-naz hain main be-khud-e-niyaz un ki khabar unhen hai na meri khabar mujhe sayyaad bhi diya to muqaddar se bad-guman badle kai qafas jo mile chaar par mujhe kuchh un ki tegh ke bhi badhane the hausle kuchh khud bhi bar-e-dosh tha ulfat mein sar mujhe ek din to aa ke samne jalwe bikher do main yaad kya karunga mili thi nazar mujhe ho kar asir yun mere fitrat badal gai jaise kabhi mile hi na the baal-o-par mujhe ek barq thi jo ruh pe lahra ke gir padi ab tak hai yaad aap ki pahli nazar mujhe mayus ho chala hai mera zauq-e-justuju kuchh to pata batao miloge kidhar mujhe mujh ko kamal-e-be-hunari 'abr' hai bahut yani nahin zarurat-e-arz-e-hunar mujhe