hamare qalb ke aangan mein tu nahin rahta sarab-e-husn teri justuju nahin rahta kuchh aisa zakhm diya irtiqai suraj ne ragon mein daudne wala lahu nahin rahta ye tajrabaat ka mausam ajib mausam hai kahin bhi shakh-e-shajar par numu nahin rahta na jaane kaun si wahshat hai us ki aankhon mein wo aaina hai magar ru-ba-ru nahin rahta garaj ke sath barasna ghata ki fitrat hai samundaron mein kabhi hao-hu nahin rahta wo ajnabi tha sar-e-rah lut gaya 'nashtar' charagh-e-rah-e-safar ku-ba-ku nahin rahta