talkh kar len zindagi kyon fikr-e-mustaqbil se hum baz aae is junun-e-sai-e-la-hasil se hum ye haram ye dair ye hosh-o-khirad ki gumrahi har qadam kuchh dur hi hote gae manzil se hum intiha-e-shauq mein dube hue khoe hue teri mahfil mein bhi kitni dur hain mahfil se hum hasrat-e-sahil bhi thi tufan se jab tak dur the dub kar ubhre to ab bezar hain sahil se hum ye musalsal be-hisi uftadgi farsudgi khub hain tufan mein 'qaisar' duri-e-sahil se hum