dard apna main isi taur jata rahta hun hasb-e-haal us ko kai sher suna rahta hun ek hi ja rahne ka hai ghar pa usi ghar mein aah dil ye rahta hai juda aur main juda rahta hun baat mein kis ki sunun aah ki ai murgh-e-chaman shor mein apne hi nalon ke sada rahta hun bare itna hai asar dard ke afsane mein ek do shakhs ko har roz rula rahta hun bazm-e-khuban mein ye sar go kate rone pe mera shama-san ashk par aankhon se baha rahta hun aah-o-nala mein agar kuchh bhi asar hai mere to main us shokh ko ek roz bula rahta hun husn aur ishq ka kya zikr karun mat puchho in dinon zist se bhi apni khafa rahta hun dil laga jab se mera aah tabhi se 'jurat' kitni hi aafaten har roz utha rahta hun