hasrat ke dagh dast-e-talab se nahin dhule

hasrat ke dagh dast-e-talab se nahin dhule
bhaari the khwab aankh se pure nahin tule

chakkar bandha tha panw mein qismat ke pher ka
gard-e-safar ke band abhi tak nahin dhule

ashkon ke zaiqe mein namak rah gaya hai kam
ranj-o-malal thik tarah se nahin ghule

soe rahen hain mahal-e-tamanna hazar sal
shahzadiyon ke bakht jabhi to nahin khule

ruhen badan ka sath nibhane mein thak rahin
yani ki hast-o-bud barabar nahin rule


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close