dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin tu mere sath mere jism ke dozakh mein na jal jae kahin ghar se gata hua nikla to hun main naghma-e-ehsas magar shahr ke shor mein dab jaen na sar lai na badal jae kahin faqat is khauf se jata nahin main subh-e-tarab ki jaanib ufuq-e-dil se tere dard ka mahtab na dhal jae kahin ye tera kaam nahin dekh na duniya ki taraf gae ja maddham ek aah mein ek chikh mein pancham na badal jae kahin subh nazdik hai karwat bhi badal soch samajh kar 'khalid' zehn par aakhir-e-shab nind ki talwar na chal jae kahin