dil dubne laga hai tawanai chahiye kuchh war mujh ko zahr-e-shanasai chahiye kal tak the mutmain ki musafir hain raat ke ab raushni mili hai to binai chahe taufiq hai to wusat-e-sahra bhi dekh len ye kya ki apne ghar ki hi angnai chahiye arman tha tumhin ko ki sab sath mein rahen ab tum hi kah rahe ho ki tanhai chahiye halki si is jamahi se main mutmain nahin band-e-qaba ka khauf kya angdai chahiye jo log aaine se bahut dur dur the un ko bhi aaj bazm-e-khud-arai chahiye shaistagan-e-shahr mein mat kijiye shumar mardud-e-khalq hun mujhe ruswai chahiye