dikhai ek se denge so karna sun ke alag wo apni dhun ke alag hain hum apni dhun ke alag hum aise log qabaen hain badhte bachchon ki ki jin ko rakh diya jata hai pahle bun ke alag isi liye to judai bhi khush-gawar rahi bahut se gham the hamare alag aur un ke alag ye nasehon ko main ab farsi mein samjhaun 'azab kun ke alag hote hain makun ke alag unhin ke sath main karta hun ab jugalbandi kuchh ek log jo hote hain apni dhun ke alag gulon ko raundne walo unhen bhi yaad karo jo log kar gae talwon se khar chun ke alag dil ek parinda hai khurak us ki ek si rakh wagarna barha mangega dane dunke alag jo guzri dane pe dana hi jaanta hai 'amit' bhuna hai ho ke alag ya hua hai bhun ke alag