dara na paega lashkar tera zara mujh ko mere khuda ne wo bakhsha hai hausla mujh ko bana hai jab se mera ham-safar koi jugnu dikha raha hai andhere mein rasta mujh ko suragh milta nahin hai kahin se manzil ka ye kis maqam pe la kar khada kiya mujh ko wo jis ko samjha tha main ne yahan habib apna wo shakhs dene laga in dinon dagha mujh ko jo ungli tham ke chalta raha sada meri dikha raha hai wahi shakhs aaina mujh ko wo kaun urdu ka shaida hai shahar mein 'sani' sabaq sikha gaya kal ka mushaera mujh ko