dara saki na tawahhum ki tirgi mujh ko mili charagh-e-yaqin se wo raushni mujh ko hayat tapti rahi gham ke sho'la-zaron mein kisi ke pyar ki shabnam na mil saki mujh ko ghata siyah sahi rok lun qadam kyunkar ghata ke par bulati hai chandni mujh ko mila hai mujh se ujala kisi ko ashkon ka kisi ne di hai tabassum ki chandni mujh ko jala ke dil ka diya raste sanwar diye na di jo chand-sitaron ne raushni mujh ko jala ke 'sham’’ jigar aatish-e-shab-e-hijran bata hi deti hai mafhum-e-zindagi mujh ko