dhup barish hawa kamar-basta

dhup barish hawa kamar-basta
aur dariche mein ek guldasta

ped se ped kat gaya warna
kya kulhadi agar na ho dasta

gham se aise nidhaal hun jaise
ek bachche ki pith par basta

barishon ki duaen mangi hain
aur diwar ghar ki hai khasta

ek jugnu tha aas ki surat
bhar gaya raushni se sab rasta

bandh rakkha hai kab se rakht-e-safar
kabhi aawaz de koi rasta

baat khushbu ki thi magar 'faruq'
dhyan aaya kisi ka barjasta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close