dard-amez hai kuchh yun meri KHamoshi bhi

dard-amez hai kuchh yun meri khamoshi bhi
ras aati nahin mujh ko ye khirad-poshi bhi

kaisi hairat hai ki ek main hi na behosh raha
kya tajjub hai ki chhati nahin madhoshi bhi

yaad ka kaun sa aalam hai ki main marta hun
aur zinda hai mera khwab-e-faramoshi bhi

kis ki aaankhon ka nasha hai ki mere honton ko
is qadar tar nahin kar sakti bala-noshi bhi

main kinara bhi karun khud se to mumkin hai kahan
ki na ho tere talluq se ham-aghoshi bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close