jab teri chah mein daman-e-junun chaak hua phir kahin ja ke mujhe ishq ka idrak hua yun to ek jaise nazar aate hain chehre lekin koi khush-khwab hua aur koi ghamnak hua waraq-jaan pe likhe main ne sahife dil ke is hawale se bhi main shoala-e-be-bak hua koi mar ke bhi zamane mein amar hota hai aur koi jite hue bhi jasad-e-khak hua jis ki lahron se janam lete hain sandal se badan us samundar ka ba-sad shauq main pairak hua ai 'khayal' aaina-e-husn-e-mujassam ki qasam khak par baith ke main sahab-e-aflak hua