ruka jawab ki khatir na kuchh sawal kiya magar ye zoam ki har rabta bahaal kiya thakan nahin hai kathin raston pe chalne ki bichhadne walon ke dukh ne bahut nidhaal kiya jo tutna tha faqat dard hi ka rishta tha to dil ne kyun bhala is baat par malal kiya bacha ke rakhna tha ek aks apni aankhon mein bade jatan se unhen aaina-misal kiya lahu mein tair gai wo ghadi judai ki ki jis ke zahr ne jina mera muhaal kiya bichhad raha tha magar mud ke dekhta bhi raha main muskuraati rahi main ne bhi kamal kiya khabar thi us ko ki dasht-e-hunar se aai hun so us ke lafzon ne zakhmon ka indimal kiya