darpai-e-umr-e-rafta hun yarab har-dam az-khud guzishta hun yarab kya hun maqbul-e-tab-e-ahl-e-sukhan ek mazmun-e-basta hun yarab kya dikhaun main apne jauhar aah shakl-e-tegh-e-shikasta hun yarab apni kam-fursati kahun kya aah! aah az-sina jasta hun yarab pani pani hun jis ko dekh jahim soz-e-gham se wo tafta hun yarab dekho kya ho ki wan hai naz-e-ghurur main ye ahwal-e-khasta hun yarab