jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae ek viran makan bolta ghar ho jae main hun suraj-mukhi tu mera hai dilbar suraj tu jidhar jae mera rukh bhi udhar ho jae ranj-o-gham aish-o-khushi jis ke liye ek hi hon umr us shakhs ki shahon si basar ho jae jo bhi dukh dard musibat ka piye wish hans kar kyun na suqraat ki surat wo amar ho jae laut aao jo kabhi ram ki surat tum to man ka sunsan awadh dip nagar ho jae kha ke patthar bhi jo muskan bikhere har-su bagh-e-alam ka wo phaldar shajar ho jae hum ne jaana hai yahi aa ke jahan mein 'darwesh' hona chahe jo na hargiz wo bashar ho jae