dard hi deta hai ab wo na dawa deta hai hae kaisa wo wafaon ka sila deta hai main ne pine ke liye hath badhaya kab tha apne hathon se koi aa ke pila deta hai girne lagte hain agar ashk meri aankhon se apna daman koi chupke se badha deta hai jis ne ek bar bhi dekhi hai tajalli teri sare aalam ko wo nazron se gira deta hai un ki khushiyon pe hi mauquf nahin apni khushi un ka bakhsha hua har gham bhi maza deta hai aarzu ye hai ki main hosh mein aaun na kabhi apni hathon se wo daman ki hawa deta hai kyon samajhte ho 'habib' ashk ko tum mere haqir ye mere qalb ke tufan ka pata deta hai