dard badhta hi rahe aisi dawa de jao kuchh na kuchh meri wafaon ka sala de jao yun na jao ki main ro bhi na sakun furqat mein meri raaton ko sitaron ki ziya de jao ek bar aao kabhi itne achanak-pan se na-umidi ko tahayyur ki saza de jao dushmani ka koi pairaya-e-nadir dhundo jab bhi aao mujhe jine ki dua de jao wahi ikhlas-o-murawwat ki purani tohmat dosto koi to ilzam naya de jao koi sahra bhi agar rah mein aae 'anwar' dil ye kahta hai ki ek bar sada de jao