dekhe koi talluq-e-khatir ke rang bhi us fitna-khu se pyar bhi hai aur jang bhi dil hi nahin hai us ke tasawwur mein shad-kaam ek sarkhushi mein jhumta hai ang ang bhi kuchh rabt-e-khas asl ka zahir ke sath hai khushbu ude to udta hai phulon ka rang bhi aisa nahin ki aath pahar be-dili rahe bajte hain gham-kade mein kabhi jal-tarang bhi dekha hai aaj us ne mujhe mud ke 'aftab' is waqiye pe khush bhi hun main aur dang bhi