dard dil se kabhi juda na hua koi hamdard aap sa na hua un ke hamrah tha tamam safar tai magar phir bhi rasta na hua hum bhanwar mein the dubte hi gae nakhuda to kabhi khuda na hua aap ka gham hai aap se behtar wo kabhi hum se be-wafa na hua hain sabhi log shahr ke achchhe hum se badh kar koi bura na hua hum se ruthi rahi 'kiran' lekin dil to dil se kabhi juda na hua