khala ke dasht se ab rishta apna qata karun safar tawil hai behtar hai ghar ko laut chalun buland hota hai jab jab bhi shor nalon ka khayal aata hai dil mein ki main bhi chikh padun tumhaare hote hue log kyun bhatakte hain kahin pe khizr nazar aae to sawal karun maal jo bhi ho jis tarah bhi kate ye umr tumhaare naz uthaun tumhaare ranj sahun adhuri an-kahi be-rabt dastan-e-hayat lahu se likh nahin sakta to aansuon se likhun