tera mai-khwar khush-aghaz-o-khush-anjam hai saqi ki dil mein yaad teri lab pe tera nam hai saqi muhit daur-e-saghar charkh-e-nili-fam hai saqi ghulam-e-chashm-e-maigun gardish-e-ayyam hai saqi dil-e-nakaam ko ulfat se teri kaam hai saqi mohabbat be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi zamane se alag ho kar mujhe duniya-e-ulfat mein tera rukh roz-e-raushan zulf teri sham hai saqi isi mein aa gai hai khinch ke saqi ruh taqwa ki mata-e-din-o-iman qimat-e-ik-jam hai saqi khuda rakkhe teri zulf-e-moambar ke tasawwur se takhayyul mera ambar-biz-o-ambar-fam hai saqi khudara is taraf bhi ek nigah-e-lutf ho jae meri hasti hama hasrat hama aalam hai saqi hue hain dil pe is se munkashif asrar hasti ke nawa-e-qulqul-e-mina mujhe ilham hai saqi sharaf teri ghulami ka badi mushkil se milta hai zahe-qismat jo tera banda-e-be-dam hai saqi azal se ta-abad yunhi rahega khak-e-mai-khana 'ghubar'-e-khasta-o-nakaam jis ka nam hai saqi