dushman ko le ke sath sitamgar idhar baDha

dushman ko le ke sath sitamgar idhar badha
kuch dard-e-sar ghata tha ki dard-e-jigar badha

khali na aae yar ki mahfil se hum kabhi
rashk-e-adu se aur bhi zakhm-e-jigar badha

tanhai par meri na zara bhi kiya khayal
dil pahle nazr le liya tab nama-bar badha

mahrum rah na jaen ki mahfil akhir hai
saqi bhala ho ab bhi koi jam idhar badha

mere sabab se qatil-e-alam mila khitab
jab main mita to aap ka ye karr-o-far badha

jab mar gae to qabr pe wo fatiha ko aae
kab mere nala-ha-e-darun ka asar badha

arman-e-wasl karte hain dekhun kahan qiyam
dil ki taraf bhi yar ka tir-e-nazar badha

ranj-o-malal-e-hijr se ghabra na ai 'haqir'
han jis qadar badhe abhi zad-e-safar badha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close