main tang-dasti-e-mohlat se itna chahta hun khud apne aap se ek bar milna chahta hun siwa bharam kahin kuchh bhi nahin hai to phir bhi main thodi dur tere sath chalna chahta hun main khud pe qahr bhi dhaun hifazaten bhi karun main is khudai sifat ko baratna chahta hun main chahta hun sahaaron ke sath sath rahun main ladkhadae bina hi sambhalna chahta hun sawal phir se hai kirdar ko badalne ka main ab ki bar bhi kapde badalna chahta hun har ek show se mohabbat hai is liye mujh ko main nafraton ke tasawwur se bachna chahta hun