hum ai gham-e-hayat na jaane kahan rahe jab husn-e-ittifaq se wo mehrban rahe jis waqt chhid gai hai nigar-e-sahar ki baat tare shab-e-firaq mere ham-zaban rahe kya ehtimam-e-husn-e-chaman kar sake bayan jab khud dil-e-bahaar mein paiham khizan rahe phir zindagi kare na koi aur aarzu gar us ke sath ek gham-e-jawedan rahe ya manzilon ke zikr se tum ne diya fareb ya hum hi mahw-e-gard-e-rah-e-karwan rahe nakaamiyon ka ab ye taqaza hai bar bar har waqt ek kashmakash-e-imtihan rahe tarik raste mein bhi 'azmat' hamare sath zakhm-e-wafa mein rang-e-mah-o-kahkashan rahe