dard-e-dil ki dawa hai mah-e-nau aasman par khila hai mah-e-nau meri hi tarah tera bhi un se kya koi wasta hai mah-e-nau un ka chehra dikhai deta hai kya koi aaina hai mah-e-nau muskuraata hai dekh kar hum ko jaise sab jaanta hai mah-e-nau din ko sota hai wo na jaane kahan raat ko jagta hai mah-e-nau rah ke meri tarah se chup 'anwar' jaane kya sochta hai mah-e-nau