kya bataen haal-e-dil un ki shanasai ke baad habs badhta hi chala jata hai purwai ke baad ek muddat par khayal un ka kahan se aa gaya kitni achchhi anjuman lagti hai tanhai ke baad jab nazar aaya na sahil un ki chashm-e-naz mein kya dikhai dega wo dariya ki gahrai ke baad dar-ba-dar ki thokaren khain mohabbat mein to kya ho gae hum mohtaram kuchh aur ruswai ke baad hum kahan honge na jaane is tamasha-gah mein kis tamashai se pahle kis tamashai ke baad un ke bare mein faqat itna hamein malum hai ab wo rahte hain hamare dil ki angnai ke baad khub hai 'afsar' hamein apni haqiqat ki khabar kya hamara nala-e-dil un ki shahnai ke baad