dard-e-dil ki unhen khabar na hui aah minnat-kash-e-asar na hui apni taqdir rah par na hui koi tadbir kargar na hui jurm-e-ulfat se jhuk gain aankhen chaar un se meri nazar na hui naza mein wo na aae baalin par maut bhi meri mo'atabar na hui dekhte hain sabhi nazar un ki aur apni nazar nazar na hui yun tamanna ke phul murjhae shakh-e-ummid barwar na hui un se milne ki aarzu puri hashr se wo bhi peshtar na hui hijr ki shab mariz-e-furqat ne jaan de di magar sahar na hui aise jine se maut behtar hai zindagi zindagi agar na hui saikdon inqalab aae magar dil ki duniya idhar-udhar na hui lakh science ne taraqqi ki dastaras maut par magar na hui kya karen sharh-e-haal-e-dil 'shoala' gham ki rudad mukhtasar na hui