jis ko jaana tha kal tak khuda ki tarah aaj milta hai wo aashna ki tarah meri hasti bhi ho jaegi jawedan dast-e-qatil utha hai dua ki tarah us ke hathon pe hain mere khun ke nishan jo mahakte hain rang-e-hina ki tarah justuju hai mujhe aaj us shakhs ki jo wafa bhi kare bewafa ki tarah rah-e-manzil mein baitho na yun haar kar raunde jaoge tum naqsh-e-pa ki tarah karwan karwan pahunche manzil pe hum rah badalti rahi rahnuma ki tarah