dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do

dard-e-dil ko dastan-dar-dastan hone to do
shahr-e-qatil mein zara amn-o-aman hone to do

meri aah-e-nim-shab manzil-numa-e-shauq hai
nala-e-dil ko rahil-e-karwan hone to do

aur bhi na-qadr-dani-e-hunar yaad aaegi
ham-nashinon ko malal-e-raftagan hone to do

dil udhar mail hua hi tha ki wahshat badh gai
us ki chahat ko zara aatish-ba-jaan hone to do

khana-e-be-rang bhi hai shisha-e-sad-rang bhi
dil ko pahle be-niyaz-e-in-o-an hone to do

surkhi-e-khun-e-tamanna aabru-e-ishq hai
aarzuon ka lahu rang-e-bayan hone to do

hai nihan mashq-e-sukhan mein fikr-o-fan auj-e-sukhan
han zamin-e-sher ko 'barq' aasman hone to do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close