dil phir raha hai dard-e-mohabbat liye hue phirti hai bad-nasib ko shamat liye hue rakkha rahega husn jo jaanbaz uth gae baithe rahoge chand si surat liye hue lao to main hi is ki haqiqat ko dekh lun hai kis qadar majaz haqiqat liye hue talqin-e-sabr-o-shukr hai waiz ka mashghala kya us ki guftugu hai nahusat liye hue main be-niyaz hun mera saman puchhiye baitha hua hun rakht-e-qanaat liye hue rah jaega kahan ye meri gham ki kya bisat tum aa to jao apni masarrat liye hue rahmat kahin tamam hi kar de na sab hisab jae na hashr aa ke nadamat liye hue ai ahl-e-mal jao to qarun se mil to lo puchho kahan chala hai ye daulat liye hue chakhna hai sab ko zaiqa-e-talkh maut ka hum tum hain 'khushtar' ek hi dawat liye hue