dard-e-dil us se bayan karta hai nadan koi

dard-e-dil us se bayan karta hai nadan koi
sun ke jo kah de ki us ka nahin darman koi

daulat-e-hosh-o-khirad bhi wo luta dete hain
tere diwane nahin rakhte hain saman koi

naza mein pesh-e-nazar aaina aamal ka hai
puchhte kya ho ki hai kis liye hairan koi

bhul kar bhi nahin aata hai rihai ka khayal
ya-rab itna bhi na ho khugar-e-zindan koi

dafn hain hasrat-o-arman ki hazaron lashen
dil se pahlu mein ki hai gor-e-ghariban koi

hasraten us dil-e-nakaam ki allah allah
jis ka nikla hi na ho dahr mein arman koi

naza mein kash kisi ne bhi to puchha hota
marne wale tere dil mein bhi hai arman koi

is tarah rakhta hun dil mein rukh-e-pur-nur ki yaad
jaise sine se lagae hue quran koi

apne begane ka jhagda hi mita do 'wasif'
aao aabaad karo chal ke bayaban koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close