sahil ki himayat mein jazire nikal aae

sahil ki himayat mein jazire nikal aae
pani se baghawat ke wasile nikal aae

jab mand padin yaad ke suraj ki shuaen
nisyan ki khalaon mein sitare nikal aae

tai ho gai tabir se jab in ki sagai
khwabon se mere aur bhi rishte nikal aae

kis nind se jaga hun ki har jeb se meri
farda mein chhupae hue sikke nikal aae

pairahan-e-alfaz badalne ke amal mein
kuchh mani lakiron ke badan se nikal aae

dala jo kabhi dhup ke sanche mein badan ko
kaamil mujhe karne kai sae nikal aae

khola jo khalish ne kabhi sanduq-e-judai
imkan se likhe wasl ke nuskhe nikal aae

leta tha main ek dasht-e-tayaqqun mein akela
edi bhi na ragdi thi ki chashme nikal aae

yun zabt ki mutthi se bikharte gae dane
har gumbad-e-khwahish se parinde nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close