dard-e-dil wo hai ki rahat se sarokar nahin taqat-e-sabr nahin quwwat-e-guftar nahin tegh-e-abru ko sambhaalo main jhukaun gardan jaan dene se to jaan-baz ko inkar nahin dun main kis chiz se tashbih tahayyur hai mujhe surat-e-gul to mera zakhm-e-dil-e-zar nahin kaisi mushkil mein phansaya hai mohabbat ne mujhe baithna jabr hai aur taqat-e-raftar nahin kis liye main dil-e-sad-chaak rakhun pahlu mein gesu-e-yar ko shane se sarokar nahin dil wo kis ka hai nahin jo tere qadmon pe nisar kaun hai wo jo tera talib-e-didar nahin dahr-e-fani mein pareshan hai sari khilqat aisa koi hai jo majmu-e-afkar nahin nakhun-e-dasht-e-jununn dekhiye kya karta hai daman-o-jeb-o-gareban mein koi tar nahin gar wahan jao 'jamila' to ye kahna us se go main kahida hun par ishq tera bar nahin