itna be-asra nahin hun main aadmi hun khuda nahin hun main hai abhi meri justuju jari yani khud ko mila nahin hun main main ne dawa kiya na hone ka mujh ko malum tha nahin hun main nikal aaya main zat se bahar apne andar raha nahin hun main main jo hun main bhi asl mein tum hun meri jaan dusra nahin hun main tum mujhe jaan hi nahin sakte aks hun aaina nahin hun main hun bura, manta hun main lekin is qadar bhi bura nahin hun main dusron ki to baat hi hai alag apna bhi ham-nawa nahin hun main raaz-e-sar-basta ki tarah 'sahir' abhi khud par khula nahin hun main