khaksari kijiye ya shahryari kijiye hum gharibon mein kuchh apna faiz jari kijiye jin se kuchh hasil nahin tabir-khwahi ke siwa aise khwabon mein basar kyun raat sari kijiye jo hamara haal hai us se alag un ka nahin sakinan-e-shahr se kya parda-dari kijiye aap jo kahte hain wo karte nahin malum hai pyar kar sakte nahin baaten to pyari kijiye aaen bhi tashrif le aaen yahi dastur hai baith kar mere sirhane gham-gusari kijiye chum kar hum chhod denge ye guman sachcha nahin aap apni chah ka patthar na bhaari kijiye hum yun hi mar jaenge kafi hai ishaara aap ka aankh ko khanjar na abru ko katari kijiye kusht-gan-e-khanjar taslim kahlate hain kyun kuchh tadap dikhlaiye kuchh be-qarari kijiye hum bure hain ya bhale mahsus khud ko bhi na ho thodi apne aap se bhi hoshyari kijiye sarkashan-e-ishq phir aamada-e-fariyaad hain phir koi farman-e-qatl-e-am jari kijiye