gham-e-hayat se fursat hamein kabhi na mili khushi ke nam ko sunte rahe khushi na mili usi ke dil se koi us ki tishnagi puchhe ki mai-kade mein jise ek bund bhi na mili main jis taraf bhi jahan mein gaya khushi ke liye mujhe to gham ke alawa kahin khushi na mili kabhi kabhi ye jalane ke baad dekha hai mere charagh se khud mujh ko raushni na mili jo un ke samne be-ikhtiyar aai thi phir aaj tak mere honton ko wo hansi na mili laga liya gham-e-dauran ne phir kaleje se gham-e-hayat ke maron ko jab khushi na mili mera mizaj zamane ne lakh apnaya mere mizaj ki aisi to sadgi na mili wo aur hain ki jo lutf-e-hayat uthate hain 'kamal' maut bhi mujh ko hansi khushi na mili