hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen

hum ko kiya hai waqt ne majbur kya karen
is waste hain aap se hum dur kya karen

khud ko is anjuman mein wo mashhur kya karen
duniya hai kam-nasibon ki be-nur kya karen

khun-e-shuur khun-e-wafa khun-e-arzu
jalne lage hain surat-e-nasur kya karen

daulat ka sikka chalta hai sare hi shahr mein
nadar kya karen yahan majbur kya karen

pahle hi be-hijab nazar aa rahe hain wo
un ko dil-o-nigah mein mastur kya karen

khamosh is khayal se baithe hain bazm mein
rudad-e-gham se aap ko ranjur kya karen

puri ho kis tarah dil-e-muztar ki aarzu
badla hai husn-o-ishq ka dastur kya karen

rahat ki baat kis tarah aae zaban par
badhne lage hain qalb ke nasur kya karen

bar-e-gham-e-hayat utha to liya magar
'qaisar' hain apne waqt se majbur kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close